Aam si zindagi

poormother_590

Woh aam si zindagi, 
jiska thikaana kuch nahin,
woh chaadar ki chatt,
jiska zamaana ab nahin.

woh manjhi par baitha insaan,
jiske sar ke neeche siraana nahin,

woh bigadhe se bacche,
jo maa ki godd mein bhi rote hain,
woh bhukh-pyaas lagne par,
apni thook hi pee lete hain,

woh aam si zindagi,
jiska thikaana kuch nahin,

woh haste aur phir bhi muskuraate hain,
apne parivaar ke lie,
shehron mein chale aate hain,

na jaane kya, na jaane kya, 
woh paate hain, chotti-2 naukari kar ke, 
bacchon ko paalte hain,

woh aam si zindagi,
jiska thikaana kuch nahin,

kisi ka koodha utha kar,
kisi ka jhootha kha kar, 
woh apni hi aankhon mein, 
bin bole gir jaate hain,

haath mein laathi,
aur kandhe par apna hi kafan,
baandhe chalte hain,

woh aam si zindagi,
jiska thikana kuch nahin,

aankhon mein phir bhi, 
woh chote-2 sapne sajaate hain, 
sapne sajaate hain...

 

Kalam

THIS POEM IS ATTRIBUTED TO THE TIME WHEN OUR HEART HAS INFINITE EMOTIONS BUT OUR MIND  STRUGGLES TO ORGANISE INTO  THOUGHTS.

quill-pen-diary-writing-ink-well-womans-hand

Iss kalam ka kamaal dekhne ki ,

aarzoo humesha rehti hai. –2

jab jab uthaate hain yeh kalam,

fisal jaate hain kadam.

ke jab jab sambhalte hain kadam, –2

to phir fissal jaati hai kalam,

jab donon saath hote hain ,

toh iss mann ko kon samjhaaye,–2

is man ko samjhane mein bhi,

dagmaga jaate hain kadam,

kissa aisa hi hai,–2

thehre rehte hain hum,

par is kalam ka kamaal dekhne

ki aarzu humesha rehti hai…

 

Khwaahish

Woh lamhein,

kuch ankahi si baat ho gayi,

hum sote rahe aur woh andheron se keh gayi,

masti ke aalam mein,

jin dinon ghoom ghoom ke naache the hum,

unhin kuch lamhon se labzon mein baat keh gayi,

sharmaa jate hain,

aaj bhi uss pehlu ko soch kar,

kuch dard-e-dil, aisi hi baat ho gayi,

har kashti ka kinaara,

dhoondte rehte hain,

aisi nazaron se mulaakat ho gayi,

jeene ki khwaahish

karte rahe hum,

Woh marte marte ek baat keh gayi,

woh baat kuch aisi si thi,

sunane ki koshish karte rahe hum,

woh bin bole hi har baat keh gayi…

 

Ehsaas…

Kya tu hai Jo main sochti Hun,

Kya tu wohi ehsaas hai,

Aankhon mein basse andaaz ka,

Kya tu wahi alfaas hae,

Rasmon mein bandhe bandhan ka,

Kya sirf wahi dorr SE ehsaas h,

Kya tu sirf mera hae

Ya main sirf Teri hun ,

Woh palkon mein pal rahe sapnon ka,

Kya tu hi awaaz hae,

Mera saanso mein behtu hawaa,

Kya tujhe uska ehsaas hae,

Jo Meri Baatein sunta hae,

Jo na bolun TOH

Uss chuppi ka ehsaas hae,

Kya tu itna mera khaas hae?